Yeh jo thode se hain paise
Kharch tum par karu kaise
Yeh jo thode se hain paise
Kharch tum par karu kaise
Agar kahee ik dukan hoti
Jahan pe milate gagan ke tare
Agar kahee ik dukan hoti
Jahan pe milate gagan ke tare
Mai sare tare kharid leta
Tumhare anchal mein taank deta
Magar kya karu main ki
Yeh janata hoon
Tare milate nahi aise
Tare milate nahi aise
Yeh jo thode se hain paise
Kharch tum par karu kaise
Agar kahee ik dukan hoti
Jahan pe milate hasin sapane
Agar kahee ik dukan hotiJahan pe milate hasin sapane
Mai sare sapane kharid lata
Tumhari palakon pe main sajata
Magar kya karu main ki
Yeh janata hoon
Sapane milate nahi aise
Sapane milate nahi aise
Yeh jo thode se hain paise
Kharch tum par karu kaise
Mai janata hu main janata hoon
Kahan yeh paise kahan muhabbat
Kahan yeh jarre kahan woh parabat
Kahan yeh kagaz ki ek naav
Kahan woh jazbat ka bahaav
Yeh sach hai magar phir bhi
Main sochata hoon
Yeh jo thode se hain paise
Kharch tum par karu kaise
Yeh jo thode se hain paise
Kharch tum par karu kaise
0 Comments